SHUKRIYA
Tum miley thhe mujhko kab kis din
kaise mera dil chhin lia
ye pata nahi mujhko phir bhi
uss din uss kshann ka shukriya
kya baat kahi kya baat suni
kuchh pata nahi kya kisne kiya
jo kuchh bhi kiya jisne bhi kiya
uss karne-waale ka shukriya
kaise tum mujh par mitey
kaise maine dil tujhe diya
jaise bhi mitey jaise bhi diya
mitney-dene ka shukriya
kis samay kahey tum mujhe jaana
kis wakt bani mai teri priyaa
subah shaam ka pata nahi
har shaam-subah ka shukriya
- APURVA (LOST FROST)
No comments:
Post a Comment